|
Here is compilation of all kinds of new shayari compilation for year 2016 done by us,Below down you can find collection of Life related shayari,sad shayari on life,romantic mood shayari,shayari you can give for your love in hindi and marathi.We also have shayari for friensdhip ,happiness,motivational shayari,inspirational shayari.So stay tuned for more
Khawahishon ka kafila bhi ajeeb hi hai, Aksar wahin se guzarta hai jahan rasta na ho. Chehre ki hasi se Chehre ki hasi se har gam chupao, Bahut kuchh bolo par kuchh na batao. Khud na rutho kabhi par sabko manao, Ye raz hai zindagi ka, bas jeete chale jao.(Love shayari best) Ek din sagar ne nadi se Ek din sagar ne nadi se pucha, Kab tak milti rahogi mujh khare jal se? Nadi ne hans kar kaha, Jab tak tujh me mithas na aa jaye tab tak. Phool Bankar Phool bankar muskurana zindagi, Muskura ke gham bhulana zindagi, Jeet kar koi khush ho to kya hua, Haar kar khushiyan manana bhi zindagi. Sabhi naghme Sabhi naghme saaz mein gaye nahi jaate, Sabhi log mehfil mein bulaaye nahi jaate, Kuchh paas reh kar bhi yaad nahi aate, Kuchh door reh kar bhi bhulaye nahi jaate. Yadein hoti hain Yadein hoti hain satane ke liye, Koi roothta hai phir maan jane ke liye, Rishte banana koi mushkil to nahi, Jaan bhi chali hai nibhane ke liye. Sabhi ko sab kuchh Sabhi ko sab kuchh nahin milta, Nadi ki har lehar ko sahil nahin milta, Yeh dil walon ki dunia hai dost, Kisi se dil nahin milta to koi dil se nahin milta.(Best shayari #1) Taqdeer ke khel Taqdeer ke khel se kabhi mayoos nahi hote, Zindagi mein aise kabhi udaas nahi hote, Hathon ki lakeeron par vishwas mat karna, Taqdeer to unki bhi hoti hai jinke hath nahi hote. Aashiyane ki baat Aashiyane ki baat karate ho, Dil jalane ki baat karate ho, Saari duniya ke ranj-o-gam de kar, Muskurane ki baat karate ho. Hum ko apni khabar nahin yaaron, Tum zamane ki baat karate ho, Zikrr mera suna to chidh ke kaha, Kis diwane ki baat karate ho. Hadasaa tha guzar gaya hoga, Kis ke jaane ki baat karate ho.(Romantic shayari #1) Sham suraj ko Sham suraj ko dhalna sikhati hai, Shama parwane ko jalana sikhati hai, Girne wale ko hoti to hai takleef, Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai. Zindagi mein kisi ko Zindagi mein kisi ko is kadar mat pyar karo, Ki zindagi bina unke aadhori lage, Mohhabat is kadar karo ki, Hamari mohhabat ke bine woh aadhoori lage. Agar Manzil Pana Hai Agar manzil pana hai to HAUSALA sath rakhna, Agar pyar pana hai to AITBAR sath rakhna, Aur agar chaho hamesha muskurana, To sab bhoolkar bas HAMEIN yaad rakhana. Ya khuda Ya khuda meri duaon mein itna asar karde, Khushiyan use, dard uska mujhe nazar kar de. Dilon se dooriyon ka ehsaas mita de ya maula, Nahin to uske aanchal ko mera kafan kar de. Unki duaon ka hum par asar Unki duaon ka hum par asar dekhiye, Kahan reh gayi thi ye kasar dekhiye. Hum to nazar aayenge har ishq mein, Is jahan mein aap apni basar dekhiye. Bhool baitha hai shayad woh is gaon ko, Kya hona hai ab haal-e-sahar dekhiye. Ek baar yun hi sahi rakhne ko dil mera, Dar par mere zara kabhi thahar dekhiye.(life shayari) Wo khafa bhi hota hai to Wo khafa bhi hota hai to zahir nahi karta, Kasoorwar hain hum ye bhala khabar kaise ho, Jiske deed se dhadkano ko rahat hoti hai, Aadin bina us chand ke zindagi ye basar kaise ho. Kaise woh laut aaye Kaise woh laut aaye ke fursat use nahin, Duniya samajh rahi hai mohabbat use nahin. Lagta hai aa chuki hai kami us ki chah mein, Kafi dinon se mujh se shikayat use nahin. Dil ki zameen us ki hai banjar isi liye, Jazbon ki barishon ki jo aadat use nahin. Phoolon ki yaad aati hai Phoolon ki yaad aati hai kaanton ko chhune par, Rishton ki samajh aati hai faaslon pe rehne par, Kuchh jazbaat aise bhi hote hain jo ankhon mein padhe nahin jaate, Woh to nazar aate hain zubaan se kehne par.(life motivational shayari) Naam ki kya baat karte ho Naam ki kya baat karte ho, Log chehre tak bhool jate hain. Tum samander ki baat karte ho, Log aankhon main doob jate hain. Gile shikwe na dil se laga lena Gile shikwe na dil se laga lena, Kabhi maan jana to kabhi manaa lena, Kal ka kya pata hum ho na ho, Jab mauka mile thoda has lena aur hasaa dena. Pattharon ko itna na pujo Pattharon ko itna na pujo ke woh dewta ho jaye, Kisi ko itna na chaho ke woh bewafa ho jaye. Baadalon ke darmiyan Baadalon ke darmiyan kuchh aisi saazish hui, Mera ghar mitti ka tha mere hi ghar baarish hui, Usko bhi zid hai bijliyan girane ki, Aur hamein bhi zid hai wahin aashiyan banane ki. Har ek rooh ki Har ek rooh ki saanson pe wazan dekh raha hoon, Main har ek sakhs ke haathon mein kafan dekh raha hoon. Arre logon khuda hone ka dava na karo, Main to insaan mein aadam ko bhi kam dekh raha hoon. Yeh hawaon mein zahar aur yeh bimaar fiza, Kal ko jo hona hai Anzaam-e-Chaman dekh raha hoon. Yeh khuda ke liye Qatl-e-Khudai chhoro, Nasl-e-Aadam mein tabahi ka chalan dekh raha hoon. Roshni walon andheron mein bhi jeena seekho, Mein aaftaab ke kadmon mein thakan dekh raha hoon. Yaad aane wale Yaad aane wale yaad aaye ja rahe hain Meri khayalon ki duniya par chhaye ja rahe hain Hum kuch kehna chah rahe hain un se , Par wo chup hain bas sms padh ke muskuraye ja rahe hain.(shayari on life) Abhi to baaz ki Abhi to baaz ki asali udaan baaki hai, Abhi to aapka imtihan baaki hai, Abhi tak to aapne zamin dekhi hai, Abhi to pura aasmaan baaki hai. Ankhoo ki aawaz Ankhoo ki aawaz kuch aur hoti hai, Aansoo ki aag kuch aur hoti hai… Kaun chahta hai bichhadna apnon se, Par kismat ki baat kuch aur hoti hai … Dil hona chahiye Dil hona chahiye, Jigar hona chahiye, Ashiqui ke liye hunar hona chaihye, Nazar se nazar milne par ishq nahi hota, Nazar ke us paar bhi ek asar hona chahiye. Kabhi ki hogi Kabhi ki hogi suraj ne chaand se mohabbat… Tabhi to chand mein daag hai…. Mumkin hai ki chand se huii hogi bewafai… Tabhi to suraj mein aag hai… Na koi kisi se door hota hai Na koi kisi se door hota hai, Na koi kisi ke kareeb hota hai, Pyar khud chal kar aata hai, Jab koi kisi ka naseeb hota hai. Unki jahan se nirali hai ada Unki jahan se nirali hai ada, Andaz unke hai yaaron sabse juda, Khafa ho jayen to qaatil se kam nahi, Meharbaan ho jayen to lagne lagte hain khuda. Utray jo zindagi teri Utray jo zindagi teri gehraiyon mein hum. Mehfil mein reh ke bhi rahe tanhaaiyon mein hum. Deewangi nahi to aur kya kahen? Insaan dhundhte rahe parchhaiyon mein hum. Kal fursat na mili to Kal fursat na mili to kya hoga, Itni mohlat na mili to kya hoga, Roz kehte ho kal milenge, kal milenge, Kal meri aakhen na khuli to kya hoga.(dard bhari best shayari in hindi) Sath chhutne se Sath chhutne se rishte nahi tuta karte, Waqt ki dhundh se lamhe nahi tuta karte, Log kehte hain mera sapna tut gaya, Tutati to nind hai sapne nahi tuta karte. Khwaish aisi karo ki Khwaish aisi karo ki aasman tak ja sako, Dua aisi karo ki khuda ko bhi pa sako, Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain, Par jiyo aise ki har pal mein zindgi pa sako..! Kashti toofan se Kashti toofan se nikal sakti hai, Shama bujh ke bhi jal sakti hai, Mayus na ho irade na badal aye dost, Kismat kisi bhi waqt badal sakti hai. Bina gum khushi ka Bina gum khushi ka pata kaise chalega, Bina roye hansi ka maza kaise milega, Wo jo bhi karta hai wo hi janta hai… Agar hum jaan gaye to use khuda kaun kahega. Is kadar na har baat Is kadar na har baat yaron se pucho, Jo baat raaz ki ho isharon se puchho, Leharo se khelna to samandar ka shauk hai, Lagti hai chot kaisi kinaron se puchho. Kashish honi chaiye Kashish honi chaiye kisi ko yaad karne ki, Lamhe to apne aap mil jayenge, Waqt hone chahiye kisi ko milne ka, Bahane to apne aap mil jayenge. Nazren na hoti to Nazren na hoti to nazaara na hota, Duniya main hasino ka guzara na hota, Hamse yeh mat kaho ke dil lagana chhod de, Jaake khuda se kaho ke haseeno ko banaana chhod de. Fanaa Kar Dena Ikhtiyaar-e-Tarannum ke tabassum se roshni ko jala dena, Mohabbat ho to nigahon se nahi hoton se bayan kar dena. Khidmatein unki ek bar nahi sau bar kar dena, Jab sab kuch kaam na kare aye dost, To jaam peete hue mohabbat ko fanaa kar dena. Geele kagaz ki tarah… Geele kagaz ki tarah hai zindagi apni, Koi jalata bhi nahi aur bahata bhi nahi. Is kadar akele hain raahon me dil ki, Koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi.(Best shayari #2) Wo baat kya karu Wo baat kya karu jiski khabar hi na ho, Wo dua kya karu jisme asar hi na ho. Kaise keh du aap ko lag jaaye meri umar, Kya pata agle pal meri umar hi na ho. Mohabbat Me Mohabbat me hum mashoor kya huwe, Har harkat humari deewangi lagne lagi. Lafz jo nikle haal-e-dil ka bayan karne, Zamane ko har wo baat shahyari lagne lagi. Dil ka dard Dil ka dard kisiko bataya na karo, Aankhon me chuppe aansu bahaya na karo. Log mutthi me namak liye ghumte hain, Apne zakhm kisiko dikhaya na karo. Fir na simtegi Fir na simtegi agar dosti bikhar jayegi, Zindagi zulf nahi jo fir se sawar jayegi. Jo khushi de tumhe thaam lo daaman uska, Zindagi roke nahi has ke gujar jayegi. Kabhi tum bhi Kabhi tum bhi humse baat kar liya karo, Milne milaane ki faryaad kar liya karo. Ek hum hai jo har baar shurwaat karte hai, Kabhi tum bhi humein humse pehle yaad kar liya karo. Jaane kya Jaane kya mujhse zamaana chahta hai, Mera dil todkar mujhe hasana chahta hai. Jaane kya baat chalakti hai mere chehre se, Har shaks mujhe aazmaana chahta hai.(Old shayari #Gold Shayari) Kagaz ki kashti Kagaz ki kashti thi aur pani ka kinara tha, Khelne ki masti thi aur dil awara tha, Kahan aa gaye jawani ke daldal main, Kya kahen bachpan hi kitna pyara tha, Utra tha chaand mere aangan main, Yeh sitaroan ko gawara na tha, Main to sitaroan se bagawat kar leta, Par chand bhi kaha hamara tha. Yeh sheeshe Yeh sheeshe yeh sapne yeh dhage, Kise kya khabar hai kahan toot jaye. Mohhabat ke dariya main tinke waffa ke, Na jane yeh kiss mod par doob jaye. Murradon ki manzil Murradon ki manzil ke sapno main khoye, Mohabbat ki raho pe hum chal pade they. Zara dur chal ke jab aankh khuli to, Kadi dhoop mein hum akele khade they. Jab bhi dill mein koi Jab bhi dill mein koi vichar aata hai , Mera dill khamosh hokar rah jata hai. Koi sab kuch keh kar pyar jatata hai, Aur koi kuch na keh kar bhi sabh kuch keh jata hai. Shikayat hai unhe Shikayat hai unhe ke hame mohabbat karna nahi aata, Shikwa to iss dil ko bhi hai par ise shikayat karna nahi aata . Dhoondta tha ke Dhoondta tha ke kaun mera saath nibhayega saaye ki tarah, Sochta hu ke kaun mere jazbaton ko samjhega yaha, Par jab khayal aaya unka jinhone hame kabhi akela nahi chchoda, To laga in tanhayion se aachcha saathi mujhe milega kaha!!! Phooloan se kya dosti karte ho Phooloan se kya dosti karte ho, Phool to murjha jaate hain. Aggar dosti karni hai to kaanton se karo, Kyun ki woh chubh kar bhi yaad aatein hain. Let us know in comment section if you have any other of your shayari
1 Comment
<a href="http://www.nicjobs.com">Nicjobs </a>
Reply
Leave a Reply. |
Authorwe are group of literature lovers,working on our collection of shayari. ArchivesCategories |
RSS Feed